Communication Skill कैसे  Improve करे  – Personality कैसे बयाये 


Aaj ke iss lekh main hum aap logo ko batayenge ki Communication Skill Kaise Improve Kare. Kuchh log ayese hote hain jinke andar jara bhi confident nahi hota hain. Ayese log jaha bhi jate hain jis kaam ke liye bhi jate hain woh log apne dar se pichha nahi chhura pate aur humesha dare hue se aur sahme hue se rahte hain. Jo log bahut jada darte hain woh log chahte hue bhi kisike sath dil khol kar baat nahi kar pate. Chaliye jante hai Communication Skill Kaise Improve Kare.

Communication skill ka matlab hain do logo ke bich ka parivesh, dono ka anubhav ya dono ke bich hone wale bhavnayo ka len – den. Jab do logo ke bich baat cheet hoti hain tab woh dono ek dusre ke sath apna anubhav, apni batain share karte hain aur jab do logo ke bich main batain share hone lagti hain tab un dono ke bich ka communication skill dheere dheere develop hota hain. Lekin kuch log bahut jada darte hain woh log kisike sath baat karne se aur apni baton ko share karne se bahut jada darte hain. Ayese hi logo ke liye hain aaj ka humara yeh lekh. Aaj ka humara topic hain “Communication skill kaise badhaye”.


Aankho main aankhe dalkar baat kare

Aap agar apni communication skills ko develop karna chahte hain toh aap jis bhi insan se baat kare uss insan ke aankho main aankhe dalkar uss insan se baat kare. Agar aap uss insan se aankh milakar uss insan se baat nahi karenge toh uss insan ko lagega ki aap usko seriously nahi le rahe hain aur aap uss insan ko aur uski baato ko avoid kar rahe hain. Agar uss insan ko lagega ki aap uss insan ko avoid kar rahe hain toh woh insan bhi aapse jada ghulega milega nahi aur aap dono ki communication skill improve nahi ho payegi.

Jada se jada jankari rakhe

Aap naye naye topics, news aur nayi nayi cheezo ke bare main jitna ho sake utna jada jankari rakhe. Agar aap apne paas jada se jada jankari rakhenge toh apne dosto ke sath aur baki logo ke sath uss baat ko aap share kar payenge aur baki logo ko bhi aap uss baat ki jankari de payenge aur jab logo ko aap ke jadiye nayi nayi baato par jankaria milengi toh aap ke sath jada se jada log ghulne milne lagenge aur tab aapka communication skill improve hoga. Nayi nayi baato par jankari rakhne ke liye aap roj news pepar padhne ki adat daal lijiye ya nayi nayi kitabo ko padhiye.

Apne body language ka khas dhyan rakhiye

Aap jab bhi kisike sath baat kar rahe ho toh aap iss baat ka dhyan rakhiye ki aapki language bilkul perfect aur sudhya ho. Agar aap baar baar apne baat karne ka tarika matlab apna tune change karte rahenge toh aap logo par apna impression acche se nahi jama payenge aur aapki communication skill improve nahi hogi. Aap iske liye apne kamre ke mirror ke samne khare hokar apne aap ko parakh sakte hain aur apne aap ko aur bhi behtar bana sakte hain.

Khud par bharosa rakhe

Hum sab ko humesha apne aap par pura bharosa rakhna chahiye. Agar aap logo ko khud par bharosa rahega toh aap log kisi aur ke sath bhi thoda confident hokar baat kar payenge. Aur aapki aankho main aur aapki baaton main bharpur confident dikhega tabhi aap logo ke sath apne communication skill ko improve kar payenge

Apna attitude same rakhe

Aap jab bhi kisi aur ke sath baat kare toh humesha ek hi attitude main baat kare. Aap agar baar baar apna attitude change karte rahenge toh samne wale ko lagega ki aap uske samne embarrassed feel kar rahe hain aur tab aapka communication skill improve nahi ho payega. Isiliye aap apna attitude humesha same hi rakhe yane ki aap baar baar apna attitude change na kare. Aap agar ek hi attitude main baat karenge toh samne wale ko bhi lagega ki aap fully confident aur nidar hain. Ayesa karne se aapka communication skill improve hoga.

Nidar hokar apni baat rakhe

Aap kisi aur ke sath jab bhi baat kare toh apne aap par confident rakhe. Agar kisi baat par aapka knowledge hain ya aap ko lagta hain ki aapki koi ray kisike liye faydemand sabit ho sakti hain toh aap beshak uss baat ko uss insan ke samne rakhe. Kuchh logo ko lagta hain ki woh agar logo ke samne apna ray rakhenge aur logo ne dhyan nahi diya ya ignore kar diya tih woh embarrassed ho jayenge. Aap ayesa bilkul bhi mat sochiye balki jo bhi aap jante hain aur kisike sath share karna chahte hain toh aapko nidar hokar uss baat ko uss insan ke samne rakhna chahiye. Ayesa karne se aapka communication skill kafi improve ho jayega.

Short cut main baat kare

Aap jo bhi bole woh baat ekdam short cut main bole taki aapki batain sun kar logo ko boring ka ehsaas na ho. Agar aapki batain jada lambi hui toh ho sakta hain ki logo ko aapki batain sunne main boring lage aur jab aapki batain logo ko entertain nahi balki bore karne lagegi tab aapka communication skill improve nahi hoga. Isiliye agar aap apne aur kisi aur ke bich ka communication skill ko improve karna chahte hain toh uske sath aap shortcut main hi baat kariye.
Ummid karti hoon ki aaj ke iss lekh ko padhkar aapko acche se samajh main aa gaya hoga ki hum kaise apne communication skills ko develop kar sakte hain. Aaj ke iss compitition bhare jamane main communication skill ne bhi apni ek mahatwa purna jagah bana liya hain. Aaj kal communication skill ke bina toh koi bhi kaam nahi hota. Communication skill ek ayesa matter hain jo bahut jada zaruri hain aur lagbhag adhe se jada logo ka communication skill accha nahi hain. Aap logo main se bahut logo ko ayisi problem hogi jo logo ke sath baat karne se aur logo ke sath ghulne milne se darte honge. Toh woh log meri aaj ke iss lekh ko dhyan se padhe aur communication skill ko improve karne ke sath sath apne life ko khushi se enjoy kare.
Aap logo ko pata chal gaya hoga ki Apni Effective Communication Skill Kaise Improve Kare. Hum aur bhi badhiya articles website par upload karne wale hai bane rahiye bharat ki number one Hindi website par. Dhanyawad.

हमारे Letest Update के लिए Press करे 


यह लेख आपको कैसा लगा हमें comment में हमें जरुर बताएँ. हमें आपके सुझावों का  इंतजार रहेगा.

यदि आपको इस पेज में सुधार की जरूरत महसूस हो रही है, तो कृपया अपने विचारों को हमें शेयर जरूर करें | सुझाव दे/ give suggestion

आप अपना हर तरह का फीडबैक हमें जरूर शेयर करें, तब चाहे वह सकारात्मक हो या नकारात्मक | सुझाव दे / give suggestion

visit another website-

               RoseRing                  ➨    https://roseringbird.blogspot.com/
              LifeEvents                              https://lifeeventsfact.blogspot.com/
            LokeshKnowledge              https://lokeshknowledge.blogspot.com/

follow social sites-  

              FaceBook        
                                            https://www.facebook.com/roseringbird/
    
                                            https://www.facebook.com/lifeeventsfact/
                         
                                            https://www.facebook.com/ApnaBusinesssuru/ 
                  Instagram
  
                                           https://www.instagram.com/roseringbird/
                              
                                                https://www.instagram.com/lifeeventsfact/

                                          https://www.instagram.com/apnabusiness_suru/

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box

Previous Post Next Post