10 Personality Development Tips in Hindi-


1- Hamesha Confidentely Rahe-

Confident ek aisi chiz hai jo aapke personality ko development karne bahut madad karti hai. agar aap har ek chiz ko pure Confident ke sath karege to usse aapke personality development me bahut asar padhta hai. jab bhi aap kisi se baat kare yaa phir kisi ki help kare to pure Confident ke sath kare. personality ko development karne ke liye aapke ander Confident hona bahut jaruri hai. isliye apne ander Confident ko badhaye..
2- Aapne Communication Skills ko Improve kare-
Communication Skills ka mtlab hota hai bol chal ki bhasa mtlab ki aap apne talking style ko improved kare. jab bhi aap kisi se baat kare to kuch bhi bolne se pahle ye soch le ki aap kya bolane jaa rahe hai aur aapke uss baat se logo par kya prabhao padega. jab aap kuch bhi soch kar bolte hai to aapka language perfect hoti hai. aapka talking language aapki personality ko development karne me bahut madad karta hai. isliye personality ko development karne ke liye aapko apni Communication Skills ko Improve karna hoga..

3- Hamesha Well Dress me Rahe-

jab bhi aap apne ghar se bahar nikale to hmesa Well Dress me Rahe. Well Dress ka mtlab ye nahi hota ki aap daily new kapde pahne balki Well Dress ka mtlab ye hota hai ki aapke kapde saaf suthare rahe. aur aapki body well maintain rahe. personality ko development karne ke liye aapko hmesa Well Dress me rahna hoga. Well Dress me rahne se log aapke upar care karege aur unka aapke prati ek accha reputation banega. isliye hmesa ye kosish kare ki aap hmesa Well Dress me rahe..

4- Apne Body Language ko Dekhe-

kisi bhi person ka Body Language ek bahut hi imporetent role play karta hai uske confident aur personality ke liye. isliye hmesa Body Language ke dwara logo ko ye dekhane ki kosish kare ki aap hmesa postitive rahte hai. agar aapko apne personality ke dwara dusare ko impress karna hai to hmesa apne Body Language ko postitive rakhe. jab bhi aap kahi par jaaye to apne Body Language ko postitive rakhe aur apne face par ek tarah ka smile laaye. ye ek bahut hi importent tips hai apne personality ko badiya karne kaa..

5- Leadership Quality ko Develop kare-

ek badiya leader hmesa ek badiya personality ko pasand karta hai. Leadership Quality ka mtlab ye nahi hota hai ki aap kewal dusare ko order de balki Leadership Quality ka mtlab ye hota hai ki aap apne ander kaam karene wale ko kaise manage karte hai. agar aap ek leader hai aur aap apne Quality ko logo ke samane improve karna cahte hai to hard work karke apne ander kaam karne wale ke liye ek example ban sakte hai. agar aap aisa karte hai to logo ke ander ek bahut hi acchi personality aapki ban jayegi..

6- Hmesa Positive Rahe-

koi bhi person aise person ke sath nahi kaam karna cahta hai jo hmesa negative rahta hai aur baat baat par gussa karta hai. agar aap hmesa negative aur tension me rahte hai to log aapki personality ko ek bekar personality bolege. isliye har ek condtion me aapko ye kosish karna cahiye ki aap Positive Rahe. agar aap kisi se koi business deal Positive rah kar karte hai to aapke uss business deal ke success hone ka chance bahut jyada badh jata hai. isliye har ek condtion me hmesa Positive rahne ki kosish kare.

7- Ek Badiya Learner Bane-

har ek person ke ander kuch acchi chiz hoti hai aur kuch buri chiz hoti hai . yadi aapko apne personality ko development karna hai to aapko ek accha Learner hona cahiye. accha Learner ka mtlab ye hota hai ki aapko har ek person se kuch naa kuch sikhna cahiye. kabhi bhi apne aap ko oversmart nahi smjhna cahiye. agar aap ek acche learner hai to ye aapke personality ko aur improved karne me bahut madad karega. isliye hmesa har ek person se kuch naa kuch sikhne ki kosish kare. aur kabhi bhi sikhna band naa kare..

8- Har ek Se Smile Karke Mile-

jab bhi aap kisi se mile to usko dekh kar Smile kare. badle me woh bhi aapke Smile ka jabab Smile ke sath dega. agar aap kisi se Smile karke milte hai to jisse aap Smile karke milte hai uska aapke prati ek accha reputaion banega. aur woh aapko ek accha person samjhega. aapki ek Smile uss person ko bahut psand ayega. aur woh aapki baat ko bhi bahut hi dhyaanpurwak sunega. isliye jab bhi kisi se mile to Smile ke sath mile. ye ek bahut hi chota aur bahut hi accha point hai apne personality ko imporved karne ke liye..

9- Logo ko Genuinely Like Kare-

agar aap apni personality ko imporved karna cahte hai to jab bhi aap kisi se mile to usko Genuinely Like Kare. aur uss person ke ander acchi chiz ko find karke usse bole ki aapki ye chiz yaa habit bahut acchi hai. agar aap logo ko Genuinely Like karte hai to ye aapki personality ko imporved karne me bahut madad karti hai. isliye jab bhi aap kisi se milne ke liye jaaye to uss person ke bare me hmesa ghar se hi positive soch kar jaye. aisa karne se woh person aapko bahut respect karega aur aapki baat ko bhi bahut dhyaan se sunega..

10- Apni Baat Bolne se Pahle Logo ki Baat Ko Sune-

jab bhi aap kisi se milne jaye to kuch bhi bolne se pahle uss person ki baat ko puri honesti ke sath sune. aapko uss person ko bolne ke liye pahle mouka dena cahiye. aur jab woh person kuch bole to aapko uss person ki baat ko bich bich me tarif bhi kar deni cahiye. agar aap aisa karte hai to woh person bahut khush hoga aur aapki badiya personality ki tarif bhi karega. aur sath hi sath woh aapki baat ko bahut hi dhyaan ke sath sunega isliye kisi se milte samay Apni Baat Bolne se Pahle Logo ki Baat Ko sunana cahiye..
हमारे Letest Update के लिए Press करे  
यह लेख आपको कैसा लगा हमें comment में हमें जरुर बताएँ. हमें आपके सुझावों का  इंतजार रहेगा.

यदि आपको इस पेज में सुधार की जरूरत महसूस हो रही है, तो कृपया अपने विचारों को हमें शेयर जरूर करें | सुझाव दे/ give suggestion

आप अपना हर तरह का फीडबैक हमें जरूर शेयर करें, तब चाहे वह सकारात्मक हो या नकारात्मक | सुझाव दे / give suggestion

visit another website-

               RoseRing                  ➨    https://roseringbird.blogspot.com/
              LifeEvents                              https://lifeeventsfact.blogspot.com/
            LokeshKnowledge              https://lokeshknowledge.blogspot.com/

follow social sites-  

              FaceBook        
                                            https://www.facebook.com/roseringbird/
    
                                            https://www.facebook.com/lifeeventsfact/
                         
                                            https://www.facebook.com/ApnaBusinesssuru/ 
                  Instagram
  
                                           https://www.instagram.com/roseringbird/
                              
                                                https://www.instagram.com/lifeeventsfact/

                                          https://www.instagram.com/apnabusiness_suru/

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box

Previous Post Next Post